donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MAIN KE YE DAANV MOHABBAT KA GANVAA BHI NA SAKOON *
MAIN KE YE DAANV MOHABBAT KA GANVAA BHI NA SAKOON
APNI QISMAT KO KISI TAUR HARAA BHI NA SAKOON
 
GHAM KE ANMOL KHAZAANE JO ATAA US NE KIYE
MAIN YE IK QARZ JO CHAAHOON, TO CHUKA BHI NA SAKOON
 
AISI SHIDDAT HAI TAPISH KI KE HUA KHAAK WAJOOD
AAG WO DIL MEN LAGI HAI KE BUJHA BHI NA SAKOON
 
AISA PEVAST HUA ROOH MEN WO DUSHMAN E JAA.N
MAIN USE NAZRON SE CHAAHOON TO GIRA BHI NA SAKOON
 
FAASLE ITNE BADHENGE YE KAHAN SOCHA THA
MAIN SADAA DE KE USE AB TO BULA BHI NA SAKOON
 
US KA EHSAAS MERE JISM SE LIPTA HAI MAGAR
"WO TO KHUSHBOO HAI USE HAATH LAGA BHI NA SAKOON"
 
DIL PE IK ABR SA CHHAAYA HAI NA JAANE KAB SE
KITNE MOTI HAIN NAZAR MEN JO GIRAA BHI NA SAKOON
 
JANG KARNE KI BHI 'MUMTAZ' NAHIN TAAB MAGAR
APNI QISMAT KI LAKEERON KO MITA BHI NA SAKOON
***********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314