donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ko’ii daaGh hai mere naam par, *
Ko’ii daaGh hai mere naam par,
ko’ii saayaa mere kalaam par,
(daaGh : blemish)
ye pahaaR hai mere saamne,
ke kitaab manzar-e-aam par,
(manzar-e-aam : in public)
kisii intizaar-e-nazar meN hai,
ko’ii roshnii kisii baam par,
(baam : terrace)
ye nagar parindoN kaa Ghol hai,
jo giraa hai daana-o-daam par,
(Ghol : nest)
Gham-e-Khaas par kabhii chup rahe,
kabhii ro diye Gham-e-aam par,
hai “Munir” hairat mustaqil,
maiN khaRaa huuN aise muqaam par.
(mustaqil : continously; muqaam : situation)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345