|
* Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi'n, *
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi'n,
Tune mujh ko kho diya mai'n ne tujhe khoya nahi'n,
Nind ka halka gulabi-sa Khumar ankho'n mei'n tha,
Yu'n laga jaise vo shab ko der tak soya nahi'n,
Har taraf divar-o-dar aur un mei'n ankho'n ka hujuum,
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahi'n.
|
|