donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamesha der kar deta hu'n mai'n, *
Hamesha der kar deta hu'n mai'n,

Zaruri baat kahani ho, 
Koi vada nibhana ho, 
Use aavaz deni ho, 
Use vapas bulana ho, 
Hamesha der kar deta hu'n mai'n,

Madad karni ho uski, 
Yar ki dhaaras bandhana ho, 
Bahut derina rasto'n par, 
Kisi se milne jana ho, 
Hamesha der kar deta hu'n mai'n,

Badalte mausamo'n ki sair mai'n, 
Dil ko lagana ho, 
Kisi ko yaad rakhna ho, 
Kisi ko bhuul jana ho, 
Hamesha der kar deta hu'n mai'n,

Kisi ko maut se pahle, 
Kisi Gham se bachna ho, 
Haqiqat aur thi kuchh, 
Us ko ja ke ye batana ho, 
Hamesha der kar deta hu'n mai'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 431