donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phool they badal bhi tha aur wo hasi'n surat bhi thi' *
Phool they badal bhi tha aur wo hasi'n surat bhi thi' 
dil may lekin aur hi ek shakl ki hasarat bhi thi' 
Jo hawa may ghar banaye kaash koi dekhata' 
dasht may rahte they par taamiir ki aadat bhi thi' 
Kah gaya mai'n samne us ke jo dil ka mudd`a' 
kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi' 
Ajnabi shahro'n may rahte umr sari kat gai' 
go zara se faasle par ghar ki har rahat bhi thi' 
Kya qayamat hai "Munir" ab yaad bhi aate nahi' 
wo purane ashna jin se hamay ulfat bhi thi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 427