donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab meraa jii chaahe maiN jaaduu ke khel dikhaa saktaa huuN, *
Jab meraa jii chaahe maiN jaaduu ke khel dikhaa saktaa huuN,
aaNdhii ban kar chal saktaa huuN, baadal ban kar chhaa saktaa huuN,
haath ke aik ishaare se paanii meN aag lagaa saktaa huuN,
raakh ke DheR se taazah rangoN-vaale phuul ugaa saktaa huuN,
itne uuNche aasmaan ke taare toR ke laa saktaa huuN,
merii umr to bas aise hii khel dikhaate guzrii hai,
apnii saaNs ke shoaloN se gulzaar khilaate guzrii hai,
jhuuTii sacchii baatoN ke baazaar sajaate guzrii hai,
patthar kii diivaaroN ko sangiit sunaate guzrii hai,
apne dard ko duniyaa kii nazroN se chhupaate guzrii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314