donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raat falak par rang-birangii aag ke gole chhuuTe, *
Raat falak par rang-birangii aag ke gole chhuuTe,
phir baarish vo zor se barsii mahek uThThe gul-buuTe,
(falak : sky, heaven)
us kii aaNkh ke jaaduu kii har aik kahaanii sacchii,
mere dil ke KhuuN hone ke sab afsaane jhuuTe,
pahle-pahal to jii na lagaa pardes ke in logoN meN,
raftaa-raftaa apne hii ghar se saare naate TuuTe,
(raftaa-raftaa : slowly)
ye to sach hai sab ne mil kar dil-jo’ii bhii kii thii,
apnii rusvaa’ii ke maze bhii sab yaadoN ne lute,
(dil-jo’ii : sympathize; rusvaa’ii : disgrace)
maiN jo “Munir” ek kamre kii khiRkii ke paas se guzraa,
us kii chiq kii tiiliyoN se resham ke shiGhuufe phhuTe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404