donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Munir Niazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage, *
Havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage,
hu’ii jo shaam to jhakkaR ajiib chalne lage,
(havaa-e-shauq : winds of desire; dayaar : residence; jhakkaR : gale)
nasheb-e-dar kii mahek raaste sajaane lagii,
faraaz-e-baam ke mahtaab dil meN dhalne lage,
(nasheb-e-dar : lowness of doors; faraaz-e-baam : highness of terrace; mahtaab : moonlight)
vahaaN rahe to kisii ne bhii haNs ke baat na kii,
chale vatan se to sab yaar haath malne lage,
abhii hai vaqt chalo chal ke us ko dekh aayeN,
na jaane shams-e-ravaaN kab lahuu ugalne lage,
(shams-e-ravaaN : the Sun in movement)
“Munir” bhuul se chehre pe ashk Dhalke haiN,
ke jaise la’al samm-e-rang(?) se piGhalne lage.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 304