donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Murshid Saeed Nasir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JAB BHI WATAN SE DOOR SHENASA DEKHAYEE DE *
JAB BHI WATAN SE DOOR SHENASA DEKHAYEE DE,
US PAK SAR ZAMEEN KA NAQSHA DEKHAYEE DE,
YEH BHI DEKHAYEE DE KE LAHU RANG HAI ZAMEEN,
HAR ROZ MASJIDO'N MEI'N DHAMAKA DEKHAYEE DE,
YO'N BAAT KIJIYE KE KOI KAAN BHI DHARE,
IS TARAH BOLIYE HAME'N SUNTA DEKHAYEE DE,
HALAT SA NIKALNE KI  TADBEER KUCHH TO HO,
AE KAASH MUJH KO KOI TO RASTA DEKHAYEE DE,
US KA MERE WAJOOD SE RISHTA ZAROOR HAI,
JO SHAKHS TUJH KO BHEERH MEI'N TANHA DEKHAYEE DE,
HAR CHEEZ JO'N KI TO'N HAI DAHAIYA'N GUZAR GAYII'N,
AE YAAR KUCHH NA KUCHH TO BADALTA DEKHAYEE DE,
WAAH ! KHAIR SE BARHA TOO BADALNE KO AA GAYA,
"MURSHID" JEE APNI RAAH LE CHALTA DEKHAYEE DE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389