donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hanfi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wajood-e-ghaiyb ka irfan toot jata hai wajood-e-ghaiyb ka irfan toot jata hai *
wajood-e-ghaiyb ka irfan toot jata hai 
sareer-e-khama say wajdaan toot jata hai 

jo ho skay tau karo aam la ubali pan 
khoodi ke boojh say insan toot jata hai 

sunaiay wo latifa hur ek jaam ke sath 
kay ek boond say iman toot jata hai 

sajanay lagta hoon jab kuch haseen yadoo'n ke phool 
mere khayal ka guldan toot jata hai 

hooay jaha'n bhi tere waheshiyoo'n ke daman chak 
wahi'n bahar ka ahesaan toot jata hai 

yeh daur wo hai Muzaffar gunah koi karai 
hamari zaat pe bahetaan toot jata hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403