donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hanfi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi karne ki phir taHreek andar se hui *
Zindagi karne ki phir  taHreek andar se hui
Zakham bahar the, tabii’at theek andar se hui
Tu ne kyuN itni salakhaiN khiRkiyoN par taan diN
Dor saansoN ki teri baareek andar se hui
MaiN jisay baizaar ho kar choR aaya tha kabhi
Ab wohi basti bahut nazdeek andar se hui
Hum yeh samajhe the mu’mma zindagi ka hul hua
Aur phir paida nayee tashkeek andar se hui
Bhar liya hoga paRosi ka ujaala chheen kar
Aap ki qandeel kyuN tareek andar se hui
Kashmakash thi ae ‘Muzaffar’ is zamiN aur bahr me
Doob janay ki mujhay tahreek andar se hui
(Muzaffar Hanfi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363