donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hanfi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mar jaaye koi un ko gham naeeN hona *
Mar jaaye koi un ko gham naeeN hona
Un doo ankhooN meiN nam naeeN hona
Pat_ta hai to lashoN se pat jaanay do
Dekho, is kuchay meiN mataam naeeN hona
Kala badal ghor nirasha ka hooN maiN
Pyaray tum bhi bijli sai kam  naeeN  hona
Jungle ka qanoon chalay ga, suntay haiN
Basti meiN adam wadam naeeN hona
Hum bhi istiqbal ko janay walay thai
Wo kahta hai kala parcham naeeN hona
Qatra hooN to shabnam rah kar ji loonga
Logo, mujh ko darya meiN zam naeeN hona
Wo mujh ko beshak Thanda kar saktai haiN
Aag ‘Muzaffar’ GhazloN meiN kam naeeN hona
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370