donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hanfi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main gunahgaar, aur anginat paarsaa, chaar jaanib se yalghar karte hue *
Main gunahgaar, aur anginat paarsaa, chaar jaanib se yalghar karte hue
Jaise shabkhuun meN baukhlaa kar utheN, log talwaar talwaar karte hue
Phir chhati his ne parche lagaaye bahut, aayine aaqebat ne dikhaaye bahut
Bhaayee ne aaj kyuuN mujh ko dekha nahi, taajposhi ka darbaar karte hue
Yeh zamaanaa  laga hai  k ab jism me,  khaar k waaste khuun baqui nahiN
Ek woh waqt bhi tha k chalte the hum, raaste bhar ko gulnaar karte hue
Ur rahi thi wahaaN gard tashkik ki, aandhiyaaN tez thiN tanz-o-tazhik ki
Raaste meN paRaa  nek – naami  ka pul, khauf aayaa jise paar karte hue
Berukhi ki hawaayeN muwafiq na thiN, kaise ikhlaaq ki koNpaleN phuT_tiN
Chaar aansu zaminoN ko num kargaye, sard lafzoN ko be-kaar karte hue
Woh kharaasheN dikhate rahe haath ki, sang baari k dauraan aayiN thiN jo
Aur idhar zakhm e sar hum chhupaate rahe, khuub tazyeen e dastaar karte hue
Tarz e t’ameer k kuchh naye zaviye, asr-e-nau ko muzaffar ne bakhshe to hain
Apni hi zaat par waar karte hue,  apni hasti ko mismaar karte hue
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 462