donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hanfi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DUBOO KAR KHOON MEIN LAFZOON KO ANGARAY BANATA HOON *
DUBOO KAR KHOON MEIN LAFZOON KO ANGARAY BANATA HOON 
PHIR ANGAROON KO DAHEKA KAR GAZAL PARAY BANATA HOON 

ZAMIN PAR HI RAFOO KA DHAIR SARA KAAM BAQI HAI 
KHALAAOO'N SAY NA KAHAY DENA KI SAYAARAY BANATA HOON 

MERAY HAATHO'N KE CHALAY PHOOL BAN JATAY HAIN KAGAZ PAR 
MERI ANKHOO'N SAY POCHOO RAAT BHAR TARAY BANATA HOO'N 

JIDHAR MITTI URADOO'N AFTAB-E-TAZA PAIDA HOO 
ABHI BACHOO'N MEIN HOON SABOON KE GHUBARAY BANATA HOON 

ZAMANA MUJH SAY BARHAM HAI MERA SAR ISLIAY KHAM HAI 
KE MANDIR KE KALAS MASJID KE MINARAY BANATA HOON 

MERE BACHAY KHDAY HAIN BALTI LAY KAR QATAROON MEIN 
KUAIN, TALAB, NAHRAYN AUR FAWARAY BANATA HOON 

MUZAFFAR WAQAI BE-DAST-O-PA HOON, TAU KYA GHAM HA 
YEH KYA KAM HAI KE MANSOOBAY BAHOOT SARAY BANATA HOONI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356