donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muzaffar Hasan Aali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na dostoN se na GhairoN kii dushmanii se thaa *
Na dostoN se na GhairoN kii dushmanii se thaa,
meraa muqaabilaa bas apnii zaat hii se thaa,
kisii bhii moR pe ruknaa kab gavaaraa thaa mujhe,
merii anaa kaa ta’alluq faqat mujhii se thaa,
(anaa : ego; faqat : only)
tamaam umr maiN DhuuNdtaa rahaa rafaaqat ko,
maiN sharmsaar bahut us kii dostii se thaa,
(rafaaqat : friendship; sharmsaar : ashamed)
dil-o-nigaah bhii aamaada-e-sujuud rahe,
merii jabiiN kaa ta’alluq bhii bandagii se thaa,
(dil-o-nigaah : heart and the sight; aamaada-e-sujuud : in prostation; jabiin : forehead; bandagii : worship)
the bad-gumaaN sabhii merii zaat-e-vaahid se,
magar sukuun bhii us shah’r meN mujhii se thaa.
(zaat-e-vaahid : single being)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 321