donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nain Tara
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baaqiyoun ki tou khair hai laikin *
Baaqiyoun ki tou khair hai laikin
"Tuu bhi dil uter na jaaey kahin"

Mujh ko her dam yeh khauf rehta hai
Khwaab mera bikhher na jaaey kahin

Ab kay sawan mein tuu ney aana tha
Daikh sawan guzar na jaaey kahin

Dil ko andaisha hai tou buss itna
Mausam-e-gham thheher na jaaey kahin

Kitni uljhi hai, kitni bikhri hai
Zindagi yoon guzar na jaaey kahin

Raat guzri hai bari mushkil sey
Yeh sahar bhi guzar na jaaey kahin
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360