* Bhari pari sarhak pe ik sawaliya nishan saa *
Bhari pari sarhak pe ik sawaliya nishan saa
Us ajnabi se shahar me'n kharha hoo'n fahiyaa'n saa
Jazeerah dar jazeerah meethe paani ki talash me'n
Badan tak us ka ban chukka thaa sukhti zaban saa
Tamam din lahoo ki boo'nd boo'nd bechtah phira
Jo shab huyee to mai'n bhi band hogaya dokan sa
Bahat si khawhisho'n ne apni jaisi kar li to li magar
Na jaane keya mere badan me'n gir parha makaan saa
Shajar hai napasand sar se chao'n kaise cheen le
Use yeh us ki be basi bata gaya mahaan saa
Kisi din aake dosh se utar le ga sar koyee
Badan me'n gunjta rahe ga aik naam azaan saa
3/28, Ram Shankar Nagar (Bhopal) (M.P)
|