|
* Zameen baanT chuky aasman banTeN gey *
Zameen baanT chuky aasman banTeN gey
hawa chaly to sahi ham uRaan banTeN gey
jo banT'ty rahy dukh sukh kaei zamanoN tak,
khuda na'karda ab apna makan banTeN gey
talab nahiN kisi manzil ki, par yaqeen rakho,
tumhaary sath safar ki takaan banTeN gey
tamaam sav saman arghawaN hisaar meiN huN,
khizaaN meiN baad-e-saba ka gumaan banTeN gey
bikharna phool ki taqdeer hi sahi, laikin,
hawa k jhonky tumhara dhyaan banTeN gey
mahabbatoN meiN junooN ka ajab taqaza hay,
wo dhoop banTy ga, ham saaibaan banTeN gey |
|