donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Narjis Afroz Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hawa-e-gul tujhy is ki khabar bhi hay keh nahiN, *
Hawa-e-gul tujhy is ki khabar bhi hay keh nahiN,
ye baagh tery liay baar-war bhi hay keh nahiN...

jo hamsafar hua mera, wo mery sath bhi hy?
maiN jis safar pe chali huN, safar bhi hay keh nahiN?

bas aik chat hi to kafi nahiN makaN meiN, ye dekh
hawa ki samt khula koi dar bhi hay keh nahiN...

qafas sy krti rahi thi kabhi nazara-e-baagh
ye lutf aankh ko bar-e-digar bhi hay k nahiN...

zara ye naam ki takhti to paRh key mujh ko bata,
jahaN maiN rehti huN wo mera ghar bhi hay keh nahiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362