* ye tay kiya tha k chaahen gy ek zamany tak *
ye tay kiya tha k chaahen gy ek zamany tak
zamana khatm howa teri samt aany tak
ham apny aap sy ye keh k ghar sy nikly thay
charagh bujhny na dena hamary aany tak
nahi hai yon k safar khatm ho gaya tery baad
ruky howy hain naya qafla banany tak
tamam umr saba theerti kahan hai magar
dil e bahar gazeeda, tuje khilaany tak
main jamaa kr rahi thi khal o khad tmhay liye
k khaab toot gaya shakl ek banany tak
wo mery sath ghany sabz jangaloon ki taraf
chala to aya tha lekin palat k jaany tak
wo apny "lams ki roohaniyat" pe nazaa"n tha
isi liye nahi aya muje manany tak
*************** |