donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Narjis Afroz Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sahil k nazary sy samundar nahiN khulta, *
Sahil k nazary sy samundar nahiN khulta,
aankhoN sy kabhi rooh ka manzar nahiN khulta

khul jaty haiN kuch log zara der me, laikin,
parkho jisy ik umr, wo aksar nahiN khulta

aasaib koi phaila hua hay keh sar-e-shaam,
is shehr meiN dastak pe koi dar nahiN khulta

seelan ki nami chaaT rahi hay dar-o-deewar,
is ghar ka dareecha koi bahar nhi khulta

hay tangi-e-daman-e-nazar, ya hay ye mumkin,
andar k kisi khof sy johar nahiN khulta

ik roshni aanchal sy tery chanti rahi hay,
hay konsa manzar, pas-e-manzar, nahiN khulta
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 413