donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Narjis Afroz Zaidi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo mujh ko dekhty thakta nhi tha, *

Jo mujh ko dekhty thakta nhi tha,
wo itna to badal sakta nahiN tha

kahaN ab koi waisa shehr bhar meiN,
ye jana aadmi yakta nahiN tha,

hua bezaar aisa phir na lauTa,
kadurat dil meiN jo rakhta nahiN tha,

shajar ko bad'dua kesi lagi thi,
samar lagta tha aur pakta nahiN tha

hui chahat alamat k hawaly
bayaN meiN naam aa sakta nahiN tha

mujhy aakhir wo kaisy DhunD leta,
keh dil meiN aankh jo rakhta nahiN tha
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 414