* Beghair mere tujhe chain aa nahiin sakataa *
Beghair mere tujhe chain aa nahiin sakataa
meraa javaab kahiin se tuu laa nahiin sakataa
hazaar parde bhii Daalo agar banaavat ke
dilon kii baat ko cheharaa chhupaa nahiin sakataa
banaa diyaa hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rulaa nahiin sakataa
hasiin taaj mahal ke banaane vaalaa bhii
dilon ke Toote gharaunde banaa nahiin sakataa
|