donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Amrohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Amr e mushkil jise jana tha woh aasaaN nikla *
Ghazal
 
Amr e mushkil jise jana tha woh aasaaN nikla
dard samjhe the jise dard ka darmaaN nikla.
 
Us pe logoN ne hamesha hi uthhaye patthar
jab bhi deewana sar e koocha e janaN nikla.
 
jism se jaan chali qadmoN ki aahat sun kar
uska aana to miri mout ka samaaN nikla.
 
hijr ki ratoN ka sathi tha tasawwur uska
per yeh mehmaan bhi kuchh roz ka mehmaaN nikla.
 
uski pathraee se ankhoN meiN jo jhanka maine
us nihaN khane meiN ik shahr e nigaraaN nikla.
 
Ujle kapdoN meiN tha malboos hamara rehbar
khalq ki aankhoN se dekha to woh uryaaN nikla. 
 
 
khaah tajdeed e marasim ki gharaz se Nasir
usse milne ka bahana kisi unwaN nikla.
 
 
Nasir Amrohvi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 295