donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Fikr-e-taameer-e-aashiaN bhi hai, *
Fikr-e-taameer-e-aashiaN bhi hai,
khauf-e-be mahri-e-khizaaN bhi hai,
khaaq bhi ud rahi hai rastoN mein,
aamad-e-subh-e-samaaN bhi hai,
rang bhi ud raha hai phooloN ka,
ghuncha ghuncha sard-fasaaN bhi hai,
oas bhi hai kahiiN kahiiN larzaaN,
bazm-e-anjuman dhuaaN dhuaaN bhi hai,
kuch to mausam bhi hai khyaal angez,
kuch tabiyat miree ravaan bhi hai,
kuch tiraa husn bhi hai hosh-rubaa,
kuch miree shokhi-e-butaaN bhi hai,
har nafs shauq bhi hai manzil kaa,
har qadam yaad-e-raftugaaN bhi hai,
wajh-e-taskeeN bhi hai khyaal uska,
had se badh jaaye to giraaN bhi hai,
zindagi jis ke dam se hai Nasir,
yaad uski azaab-e-jaaN bhi hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408