donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kise dekhein kahaaN dekha na jaye, *
Kise dekhein kahaaN dekha na jaye,
wo dekha hai jahaaN dekha na jaye,
miree barbaadioN per rone wale,
tujhe mahv-e-fugaaN dekha na jaye,
zameeN logoN se khaali ho rahi hai,
ye rang-e-aasmaaN dekha na jaye,
safar hai aur gurbat ka safar hai,
gham-e-sad-kaarvaaN dekha na jaye,
kahiin aag aur kahiin laashoN ke ambaar,
bas ai daur-e-zamaaN dekha na jaye,
dar-o-deewaar weeraaN, shama maddham,
shab-e-gham ka samaaN dekha na jaye,
purani suhbatein yaad aati hain,
charaghoN ka dhuaaN dekha na jaye,
bhari barsaat khaali ja rahi hai,
sarabar-e-ravaaN dekha na jaye,
kahiiN tum aur kahiiN ham, kya ghazab hai,
firaaq-e-jism-o-jaaN dekha na jaye,
wahi jo haasil-e-hastii hai Nasir,
usi ko meherbaaN dekha na jaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434