donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai, *
Tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai,
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai,
ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai,
sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo pyaasaa rahaa hai,
vo ko’ii dost thaa achche dinoN kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai,
kise DhuuNDoge in galiyoN meN “Nasir”,
chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385