donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Terii zulfoN ke bikharne kaa sabab hai ko’ii, *
Terii zulfoN ke bikharne kaa sabab hai ko’ii,
aaNkh kahtii hai tere dil meN talab hai ko’ii,
(talab : desire)
aaNch aatii hai tere jism kii uryaanii se,
pairahan hai ke sulagtii hu’ii shab hai ko’ii,
(aaNch : heat; uryaanii :nakedness)
hosh uRaane lagiiN phir chaaNd kii ThanDii kirneN,
terii mastii meN huuN yaa Khvaab-e-tarab hai ko’ii,
(Khvaab-e-tarab : dream of joy)
giit buntii hai tere shah’r kii bharpuur havaa,
ajnabii maiN hii nahiiN tuu bhii ajab hai ko’ii,
liye jaatii haiN kis dhyaan kii lahreN “Nasir”,
duur tak silsilaa-e-taak-e-tarab hai ko’ii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369