donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yaas meN jab kabhii aaNsuu niklaa, *
Yaas meN jab kabhii aaNsuu niklaa,
ek nayii aas kaa pahluu niklaa,
(yaas : despair,  aas : hope; pahluu : facet)
le uRhii sabza-e-Khuudruu  ki mahek,
phir terii yaad kaa pahluu niklaa,
miiThii bolii meN papiihe bole,
gungunaataa hu’aa jab tuu niklaa,
(miiThii : sweet; papiihe : cuckoos)
aayiiN saavan kii andherii raateN,
kahiiN taaraa, kahiiN jugnuu niklaa,
(saavan : rainy season; taaraa : star)
naye mazmuun sujhaatii hai sabaa,
kyaa idhar se vo mushk-buu niklaa
( sabaa : morning breeze; mushk-buu : smelling like musk)
paaNv chhilne lagii jaltii hu’ii ret,
dasht se jab ko’ii aahuu niklaa,
(chhilna : to cause injury; dasht : forest, desert)
ka’ii din raat safar meN guzre,
aaj to chaaNd lab-e-juu niklaa,
(lab-e-juu : brink of the river)
taaq-e-maiKhaanaa meN chaahii thii amaaN,
vo bhii teraa Kham-e-abruu niklaa,
(taaq-e-maiKhaanaa : recess of a tavern; amaaN : protection; Kham-e-abruu : twists of eye-brows)
ahl-e-dil sair-e-chaman se bhii gaye,
aks-e-gul saayaa-e-gesuu niklaa,
(ahl-e-dil : people with heart; sair-e-chaman : visit to the garden; aks-e-gul : reflection of a flower; saayaa-e-gesuu : shadow of the tresses)
vaaqiyaa ye hai ke badnaam hu’e,
baat itnii thii ke aaNsuu niklaa.
(vaaqiyaa : event)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 425