donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho, *
Araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho,
wo dard ab kaha'n jise ji chahta bhi ho,

ye kya ke roz ek sa gham ek si ummid,
is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho,

ye kya ke ek taur se guzre tamam umr,
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho,

tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism,
itne hujum mai'n koi chehra naya bhi ho,

diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dino'n,
ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho,

juz dil koi makan nahi dahar mai'n jaha'n,
rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho,

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka,
lekin kise dikhau'n koi dekhta bhi ho,

har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut,
lekin kise sunau'n koi hamnawa bhi ho,

fursat mai'n sun shaguftagi-e-ghuncha ki sada,
ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho,

baitha hai ek shakhs mere paas der se,
koi bhala-sa ho to hamai'n dekhta bhi ho,

bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm ke liye,
tauus bolta ho to jangal hara bhi ho.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 457