donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen, *
Kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen,
Aae ham is gali mein tau pathhar hi le chalen.

Yun kis tarah katega kari dhoop ka safar,
Sar par khayaal-e-yaar ki chaadar hi le chalen.

Ranj-e-safar ki koi nishani tau pass ho,
Thori si khaak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen.

Yeh lath ke chherti hai hamen dil-garftgi,
Ghabra gaey ham aap tau baahar hi le chalen.

Is shahr-e-be-chiragh mein jaaegi tu kahan,
Aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 422