donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil dharhakne ka sabab yad aaya, *
Dil dharhakne ka sabab yad aaya,
wo teri yad thi ab yaad aaya,

aaj mushkil tha sambhalna ai dost,
tu musibat mai'n ajab yaad aaya,

din guzra tha bari mushkil se,
phir tera wada-e-shab yaad aaya,

tera bhula hua paiman-e-wafa,
mar rahenge agar ab yaad aaya,

phir kai log nazar se guzre,
phir koi shahar-e-tarab yaad aaya,

hal-e-dil ham bhi sunate lekin,
jab wo rukhsat hue tab yaad aaya,

baith kar saya-e-gul mai'n 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yaad aaya.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391