donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Girifta-dil hai'n bahut aaj tere diwane, *
Girifta-dil hai'n bahut aaj tere diwane,
Khuda kare koi tere siwa na pahchane,

mithi mithi si ummide'n thak thak se khayal,
bujhe bujhe se nigaho'n mai'n gham ke afsane,

hazar shukr ke ham ne zuba'n se kuchh na kaha,
ye aur baat ke puchha na ahal-e-duniya ne,

baqadr-e-tashna labi pursish-e-wafa na hui,
chhalak ke rah gaye teri nazar ke paimane,

khayal aa gaya mayus rahguzaro'n ka,
palat ke aa gaye manzil se tere diwane,

kaha'n hai tu ke tere intazar mai'n ai dost,
tamam raat sulagte rahe dil ke wirane,

ummid-e-pursish-e-gham kis se kijiye 'Nasir'
jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407