donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaun is raah se guzarta hai, *
Kaun is raah se guzarta hai,
dil yu'n hi intazar karta hai,

dekh kar bhi na dekhne wale,
dil tujhe dekh-dekh darta hai,

shahr-e-gul mai'n kati hai sari raat,
dekhiye din kaha'n guzarta hai,

dhyan ki siriyo'n pe pichhle pahar,
koi chup ke se pao'n dharta hai,

dil to mera udas hai 'Nasir'
shahar kyo'n saye'n-saye'n karta hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 464