donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar ke mujhe, *
Kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar ke mujhe,
guzar gai jars-e-gul udaas kar ke mujhe,

mai'n so raha tha kisi yad ke shabista'n mai'n,
jaga ke chor gaye qafile shahar ke mujhe,

mai'n ro raha tha muqaddar ki sakht raho'n mai'n,
urha ke le gaya jadu teri nazar ka mujhe,

mai'n teri dard ki tugyaniyo'n mai'n dub gaya,
pukarte rahe tare ubhar ubhar ke mujhe,

tere firaq ki rate'n kabhi na bhulengi,
maze mile inhi'n rato'n mai'n umr bhar ke mujhe,

zara si der thaharne de ai gham-e-duniya,
bula raha hai koi baam se utar ke mujhe,

phir aaj aai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab,
suna gai hai fasane idhar-udhar ke mujhe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443