donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naye kaprhe badal kar jau'n kaha'n aur baal banau'n kis ke liye, *
Naye kaprhe badal kar jau'n kaha'n aur baal banau'n kis ke liye,
wo shakhs to shahar hi chhor gaya ab khak urau'n kis ke liye,

jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi ke sath gai,
in jalti bujhti galiyo'n mai'n ab khak urau'n kis ke liye,

wo shahar mai'n tha to us ke liye auro'n se milna parta tha,
ab aise-waise logo'n ke mai'n naaz uthau'n kis ke liye,

ab shahar mai'n is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-ghazal hi nahi,
aiwan-e-ghazal mai'n lafzo'n ke guldan sajau'n kis ke liye,

muddat se koi aaya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza,
in khali kamro'n mai'n 'Nasir' ab shamma jalaun kis ke liye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 449