|
* Wo dil nawaz hai nazar shanas nahi, *
Wo dil nawaz hai nazar shanas nahi,
mera ilaj mere charagar ke pas nahi,
tarap rahe hai'n zaba'n par kai sawal magar,
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi,
tere ujalo'n mai'n bhi dil kanp kanp uthta hai,
mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi,
kabhi kabhi jo tere qurb mai'n guzre the,
ab un dino'n ka tasawwur bhi mere paas nahi,
guzar rahe hai'n ajab marhalo'n se dida-o-dil,
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahi,
mujhe ye dar hai ke teri aarzu na mit jaye,
bahut dino'n se tabiyat meri udas nahi. |
|