* Safar-e-manzil-e-shab yaad nahiiN *
Safar-e-manzil-e-shab yaad nahiiN
log ruKhsat hue kab, yaad nahiiN
vo sitaara thii ki shabnam ki phuul
ek suurat thii ajab yaad nahiiN
aisaa uljhaa Gham-e-duniaa meN
ek bhii Khwaab-e-tarab yaad nahiiN
kaisii viiraaN hai guzargaah-e-Khayaal
jab se voh aariz-o-lab yaad nahiiN
yeh haqiiqat hai ki ahbaab ko ham
yaad hii kab the jo ab yaad nahiiN
yaad hai sair-e-chiraaGaaN 'Nasir'
dil ke bujhne ka sabab yaad nahiiN |