|
* Rah navard E bayabaan E gham, sabr kar sabr kar *
Rah navard E bayabaan E gham, sabr kar sabr kar
Kaarvaan phir mileNge baham, sabr kar sabr kar
Be nishan hai safar, raat saari paRi hai magar
Aa rahi hai sadaa dam ba dam, sabr kar sabr kar
Teri faryaad gooNjegi dharti se aakaash tak
Koi din aur sah le sitam, sabr kar sabr kar
Tere QadmoN se jaageNge ujRe diloN k khutan
Paa shikastaa Ghazaal E heram, sabr kar sabr kar
Shahr ujRe to kya!! hai kushaada zameen E khuda
Ek naya ghar basaayeNge hum, sabr kar sabr kar
Yeh mahallat E shaahi tabaahi k haiN muntazair
Girne waale haiN in ke alam, sabr kar sabr kar
Daf bajaayeNge barg O shajar saf ba saf, har taraf
Khushk mitti se phootega nam, sabr kar sabr kar
LahlahaayeNgi phir khhetiyaaN, kaarvaN kaarvaaN
Khul ke barsega abr E karam, sabr kar sabr kar
Dard ke taar milne to de, hoNt hilne to de
Saari baateN kareNge raQam, sabr kar sabr kar
Dekh ‘Nasir’ zamaane meN koi kisi ka nahiN
Bhool jaa us ke Qaul O Qasam, sabr kar sabr kar
*** |
|