donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Kazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN *
Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN
Tu bhi  dil se  utar na jaaye kahiN
Aaj dekha hai tujh ko der k baad
Aaj ka din guzar na jaaye kahiN
Na milaa  kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jaaye kahiN
Aarzoo hai k tuu yahaan aaye
Aur phir umar bhar na jaaye kahiN
Jee jalaata huN aur ye sochta huN
Raayegaan ye hunar na jaaye kahiN
Aao kuch der  ro hi len ‘Nasir’
Phir ye dariya utar na jaaye kahiN
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 414