donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Naushad Ali Naushad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Quvvate-Shamsheer NahiN Bejaan HathoN Mein *
Musalman: 

Quvvate-Shamsheer NahiN Bejaan HathoN Mein
HaiN Shikwa-e-‘Iqbal’ KahiN Anjaan HathoN Mein   
Rahbari Ummat Ki Jo Gayi Nadaan HathoN MeiN
Sambhalte Nahi Ab Waqt ke Mizaan HathoN MeiN
Kya Qawme-HijazoN Ke Auqat Yahi HaiN ?
Badr Ke SurmaoN Ke Jazbaat Yahi HaiN ?  

Sone Ki Shamshir Aur MahloN Ki Zeb-Aarai
Hakime DauraN Ke Khuchh Bhi Na Kaam Aai 
Sandooq Se MakaaN Mein Aisi Hui Ruswaai   
Tamashaa-e-Tarikh Raha Mer Ke Wo Saudai 
 	Dekha Gaya Na Majra Hasti-e-Saddam Ka
	Karbala Hi Karbala Hai Basti-e-Saddam Ka 

Nasha-e-‘Asaad’ Hai, Ta-Umr Hukmrani Ka
Yeh Mauzue-Sokhan Hai Bari Hi Hairani Ka
Gar Tu Marham Hai, Awaam Ki Pareshani Ka
Khuda Bhi Deta Tumhe Tamgaye-Sultani Ka
	Aah! Apne Hi Nasheman Ko Mismar Kiya Tune
            Qatl ! Masoom Reyaya Ka Beshomar Kiya Tune 
***************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 552