donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nisar Ahmad Nisar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koii mauqa faraham ho kisi din auj per jaaoo'n *
Koii mauqa faraham ho kisi din auj per jaaoo'n
zariya ho to mia'n gardo'n se taare torh bhii laaoo'n

hai khatra gharhi lahaq yaha'n khud se bichahrne ka
kashadah raah hai phir bhii guzar mai'n kar nahii paaoo'n

jahaa'n hai raushni wahshat udhar bhii raqs kartii hai
hadoode mahar hii se door jaaoo'n to kaha'n jaaoo'n

mere hamrah jaagi hii kahii rah jaaye'n na aankhe'n 
chaloo'n in ko hareeme khawb ke saaya me'n rakh aaoo'n

zaya'n kaari kare ilzaam mere naam dhar jaaye
baja hai koii tahmat mei'n bhii uske naam kar jaaoo'n



 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351