donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aik pal mie'n tootne ko hai samundar ka sakoot *
Aik pal mie'n tootne ko hai samundar ka sakoot
yeh ishaara kar raha hai ret ke ghar ka sakoot

ham bahut pachtaaye aawazo'n se rishta jorh kar
shor ik lamhe kaa thaa aur zindagii bhar ka sakoot

ho sake to kijiye ab zalzale ka ehtamam 
warna dastak se nahii tootega is ghar kaa sakoot

koii to aawaz ubher dil ke veeraane se ab
chaat'Ta jaata hai mujhko mere ander ka sakoot

aik lamhe mei'n shafaq ke rang ko, kujla gayee
us ke pal bhar kii udaasi, uska pal bhar ka sakoot

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 453