donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Catharsis *
Catharsis

Ham unhen palte hain 
Apne bachhon ki tarah 
Apna khoon pila kar 
Apne hisse ka rizq khela kar 
Unhen siar karate hain 
Mele thele aur bazaron ki 
Apne ungli thama kar 
Kabhi  unhen 
Zarq barq lebas pahnakar 
Chor dete hain ghane jangal me 
Betahasha raqs karne ke liye 
Kabhi kahte hain 
Nadi kinare pheslan bhari dhalan par
Dor kar titliyan pakarne ko 
Aur qahqahe lagate hain 
Unke gir jane par 
Kabhi unhen kahte hain 
Chand ki banjar zmin par 
Gulab ki kasht karne keliye 
Aur pher sogwar hone ka dhong karte hain 
Un ki mahrumeyon par 
Aur ukta jate hain 
Es khel se 
Barf ke sufaid kafan me lappet kar 
Rat ke haibat nak andhiyare ki qabar me 
Suladete hain apne khahishon ko 
Hamesha ke liye 
Aur latife sunane lagte hain 
Doston ko ….
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 463