donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Surang me bujhti lalten *
Surang me bujhti lalten 

Jab qatal hota hai 
ek beqosur insane ka
nikal aate hain 
us ke khoon ki har boond se be shumar qatil 
shatir lutere 
aur behaya zani 
ye qatal karte hain 
(kuch log chumte hain 
un ke khoon se range hathoon ko )
aur khool kar rakh dete hain 
dunya ke kisi bhi kone se utha-e-ga-e- 
sahife ka ko-ee- qadime nuskha 
aap ky samne 
ye lootte hain 
dukanon , makanon ,kheton , khalyanon ko 
aur aap ke hath bandh kar 
leta dete hain pet ke bal 
kisi tarikhi mujassame ke samne 
ye belebas karte hain 
nim uryan larkiyon ko puri tarah 
dagte hain jalti hu-ee- sigret se 
un ke chu-e- an chu-e- aazaa ko 
aur chale jate hain safar ki halat me 
parmatma me tahlil hone 
pher thori der bad 
pa-e- jaten hain baten karte hu-e-
fared ke falsafe par 
kisi kafi hoom ya pab me 
aap ko haq hasil hai 
un se ji bhar ke nafrat karne ka 
lekin ye aam qatl 
aam lutere 
ya aam zani nahin 
jin ke pas koi jwaz nahi hota 
apne badaamaliyon ko jaiz thahrane keliy 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 552