donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* (I.C.U.) *
(I.C.U.)

Mercy killing par likhna chahta hun
Ek khubsurat si nazam 
Yahan baith kar 
Lekin mahsus nahi kar parhaa hoon 
Is sogwar husn ko 
Jo kisi lash ke chehre par bikhri zard masumiyat ko 
Sunsan aankhon se sohlane ke bad hoti hai 
Zehan par banne wale naqsh ke 
Chethre kar deti hain 
Azizo aqarib ki aaho buka se 
Uthne wali sooti lahren 
Dard se tarbte mariz 
Ki koi dunya nahi hoti 
Khubsurat narsen kam nahi karsakten 
Peshani par jhulti laton se 
Zakhm se uthne wali tis ko 
Jab mariz aakhre ganth khool raha ho 

Bachi khuchi sanson ki bandhi potli ki 
Tyar baithen hain apne parai 
Daktar aur malakul moot se jhagrene ke liye 
Bukhlae pherte hain edhar udhar 
Madum hogaya hai sab kuch 
Zamin ghum rahi hai 
Un ke sene me dhansi zang aalood kil par 
Kisi ko pahli bar dekh rahe hain 
Es tarah chat patae hue 
Nahi aaega daktar 
Jab tak chae ki ek ghont bhe 
Bachi hai us ki pyali me 
Jazbati aur hassas hona 
Kaise hosakta hai ek daktar ka maslak 
Aate hi rahte hain aspatal me aise mariz har rooz 
Aisa nahi hona chahye meri nazm ka ekhtetaam 
Ehsas hai mujhe bhi 
Lekin keya karon 
Chae me gri makhi ab mar chuki hai 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 444