donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaee tarah ke sanp *
Kaee tarah ke sanp

Kaee tarah ke hote hain sanp 
Rengnewale 
Urnewale 
Samndaron me tairne wale 
Do monh bhi hote hain kisi kisi ke 
Lekin ye sab batane keliye to 
Dher sari kitaben 
Aur kai chainal moojood hain tv ke
Main to 
Bas ye batana chahta tha 
Do paaon bhe hote hain kuch sanpon ke 
Jin se kam lete hain vo
Kabutron ke andon ko kuchalne ka 
Take apni nasal bachane ke liye 
Kahin chale jain parinden 
Sanpon ke elaqe choor kar
Darhiyan bhi hosakti hain 
Sanpon ke chehre par
Peshani par sajde ka neshan 
Ya kisi shmshan ki bhabhut bhi 
Kesarya ya hari pagri bhi hosakti hai 
Un ke saron par 
Alauddin ke jin ki tarh 
Kabhi bhe kahin bhe 
Kisi bhe shakal me 
Pae jaskate hain ye sanp 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 455