|
* Mausame bahar *
Mausame bahar
Khush Aamded
Mere dost ! khush Aamded
Tumhai’n to Aanaa hi tha
Kirno’n ki saughat bantne ke liye
Jis tarah ugnaa hota hai suraj ko
Badal ko barasna hota hai
Dharti ki peyas bujha ne ke liye
Dhup ke lams ke bad pighalna hota hai
Pahar ki choti par jami barf ko
Khush Aamded
Mere dost! Khush Aamded
Tumne pahla bosa diya
Mere tanhai ke hontoo par
Tumhare gito’n ne pahli bar torha hai
Rooh me bikhre sannate ka tilasm
Mere ang ang me roshni bhar di hai
Tumhari muskan ne
Pahli bar
Khush Aamded
Mere dost! Khush Aamded
Chataki kaliyo’n, gungunate Aabsharo’n
Aur har sangar ke perh par baithe toto’n ki dar ne
Kaash mujhe pahle bataya hota
Aise Aata hai bahar ka mausam
|
|