donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mukhya dhara me’n *
Mukhya dhara me’n 
Aik 
Qutub shumal se qutub junoob tak 
Ek sarab se doosre sarab tak 
Daurhte daurhte thak chuke hai’n ham 
Ikhtera , ejaad aur aaloodgi ke ahad me’n 
Kahi’n dekhaayee nahi deti 
Koyee saaf shaffaf lahar 
Jiske bahayo me’n 
Koyee sachhi tasalli 
Koyee bulawa ho hamare lieye 
Koyee mazboot diwar 
Jiske saaye me susta sake’n 
Thorhi der be fikr ho kar 

Kya pata 
Kab gira diya jaye 
Masjid ka kaun sa minar 
Hamare hi sar par 
Sufiya-e-keram aur auliya ki qabro’n par 
Kab ban jaaye koi sarhak 
Ya pishab khana 
Madarse me parhte yatim bachhe 
Raat ke kis pahar 
Sapne me’n dekh le’n police ko 
Aur dar ke mare chillane lage’n 
Arbi me quraan parhte huye
Kab khayal aa jaaye
Osama bin laden ki maadri zaban ka 
Ghar se daftar ke liye nikle’n ham 
Aur mud bherh me’n 
Kisi aatank wadi ke marne ki khabar
Bijli ki tarah gir parhe 
Meri hi biviyon ki churhiyo’n par 
Kiya pata!
 Sadyo’n pahle 
Char biviya’n rakhne ki ejazat se bani 
Qadeem , ghair haqiqi charpayee par ham 
Kanp rahe hai’n dar se
Ya hambistari kar rahe hai’n 
Kaash samajh pate ham 


 Do 
 Aap hi ki tarah 
Bahna chahte hai’n ham bhi 
Mukhya dhara me’n 
Bina  thake aur bina ruke 
Mahine ke pahle din 
Apni garam jeb me hath dale 
Ham bhi jana chahte hai’n 
Kisi achche restorant me’n 
Apni biwi ke sath 
Kharidna chahte hai’n 
Bachchc ke liye khilaune aur kitabe’n 
Maa’n ke liye ek musalla 
Jis ke beghair bhi voh 
Duaae’n mangti rahti hai 
sare jag ki salamati ke liye 
ham bhi kharidna chahte hai’n 
qiimti tuhfe apni mahbuba ke liye 
jisse sachchai napi jati hai pyar ki 
maha nagro’n me’n 
kiya farq hai 
ham me aur aap me 
phir bhi 
na jane kiyo’n in dino’n 
rundhe huye gali se hi sahi 
chikhna chahte hai’n ham 
Aap ke miithe sapno’n ke sirhane baith kar
Gana chahte hai’n koi dukh bhara giit 
Po phatne tak 
Kiya hame apne wajood ke bikharte chhand se 
Koi dhun ,koi laye banne ki 
Ijazat denge aap !
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 390