donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Noman Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jang *
Jang 

Jang raat ke paatal me 
Raushni ki bekaar boondo’n ke 
Si sakne ki aawaz hai 
Jise kabhi nahi sun pate 
Siysatdano’n ke kaan 
Paraye roop ki angnayee me’n 
Apne husn ki jhalak dekhne ki lalak 
Naa guzair bana deti hai jang ko 

Jang 
Roothi  huyee mahbuba ka naam nahi 
Jis ki naraazgi door ki ja sakti ho 
Ek bose se 
Kisi aur ke sar se 
Pagrhi utaarne ke junoon me 
Apne sar par kafan bandhne walo 
Aman tumhare ghar ki laundi nahi 
Jis ki kalaiyo’n se tum 
Jab chahte ho utaar lete ho churhiya’n 
Khandaqe’n khodi jati hai’n 
Jis zamin ke sine me 
Doosro’n ko maar kar khud zindah rahne ki 
Behudah hawas me’n 
Nahre’n bhi nikali jaa sakti thii’n waha’n !
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442